Monday, 22 August 2011

Phool Aur Kaante




Kaatein hi kiya kartein hai phoolo ki hifazat,
Phoolon ko bachane koi mali nahin aata..........

Woh Mulakatein.....



Kitni jaldi mulakat guzar jati hai,
Pyas bujhti nahin barsat guzar jati hai,
Aapni yadoon se keh do yun na aaya karien,
Neend aati nahin par raat guzar jati hai.....

Monday, 15 August 2011

Aaeina.....





Aaiena dekh kar laut gaye, aaye the aeb ginnae mere,
Jab mujhe koi naya zakhm mila, khush huye purane mere,
Mangta kya kisi se main imdad,
Kar diya saare kaam khuda ne mere......

Durriyan Bhi Hain Zaroori



Tu mujse door kaisi hai, main tujse dur kaisa hun
Tu mujse door kaisi hai, main tujse dur kaisa hun
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai